ek nigah us jaanib thoDi dur pani par
ik nigāh us jānib thoḌī duur paanī par
tairte haiñ kuchh lāshe phir huzūr paanī par
kashtiyāñ fanā kar ke jā chhupe kahīñ tūfāñ
jaan pheñke jaate haiñ be-qusūr paanī par
mujh ko tishna-kāmī ne fath-yābiyāñ baḳhshīñ
aur mere dushman ko thā ġhurūr paanī par
anginat safīnoñ meñ diip jagmagāte haiñ
raat ne luTāyā hai rañg-o-nūr paanī par
jis ko āḳhir-e-shab kā ham-safar batāyā hai
dekhiye vo farmā.e kab zuhūr paanī par
yuuñ 'aqīl' bikhrī haiñ āftāb kī kirneñ
jaise hoñ kuchh ā.īne chūr-chūr paanī par
ek nigah us jaanib thoDi dur pani par
tairte hain kuchh lashe phir huzur pani par
kashtiyan fana kar ke ja chhupe kahin tufan
jaan phenke jate hain be-qusur pani par
mujh ko tishna-kaami ne fath-yabiyan baKHshin
aur mere dushman ko tha ghurur pani par
anginat safinon mein dip jagmagate hain
raat ne luTaya hai rang-o-nur pani par
jis ko aaKHir-e-shab ka ham-safar bataya hai
dekhiye wo farmae kab zuhur pani par
yun 'aqil' bikhri hain aaftab ki kirnen
jaise hon kuchh aaine chur-chur pani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.