ek yaad ki maujudgi sah bhi nahin sakte
ik yaad kī maujūdgī sah bhī nahīñ sakte
ye baat kisī aur se kah bhī nahīñ sakte
tū apne gahan meñ hai to maiñ apne gahan meñ
do chāñd haiñ ik abr meñ gah bhī nahīñ sakte
ham-jism haiñ aur donoñ kī buniyādeñ amar haiñ
ab kaise bichhaḌ jaa.eñ ki Dhah bhī nahīñ sakte
dariyā huuñ kisī roz muāvin kī tarah mil
ye kyā ki ham ik lahr meñ bah bhī nahīñ sakte
ḳhvāb aa.eñ kahāñ se agar āñkheñ hoñ purānī
aur sub.h tak is ḳhauf meñ rah bhī nahīñ sakte
ek yaad ki maujudgi sah bhi nahin sakte
ye baat kisi aur se kah bhi nahin sakte
tu apne gahan mein hai to main apne gahan mein
do chand hain ek abr mein gah bhi nahin sakte
ham-jism hain aur donon ki buniyaaden amar hain
ab kaise bichhaD jaen ki Dhah bhi nahin sakte
dariya hun kisi roz muawin ki tarah mil
ye kya ki hum ek lahr mein bah bhi nahin sakte
KHwab aaen kahan se agar aankhen hon purani
aur subh tak is KHauf mein rah bhi nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.