mujh pe hain saikDon ilzam mere sath na chal
mujh pe haiñ saikḌoñ ilzām mire saath na chal
tū bhī ho jā.egā badnām mire saath na chal
tū na.ī subah ke sūraj kī hai ujlī sī kiran
maiñ huuñ ik dhuul bharī shaam mire saath na chal
apnī ḳhushiyāñ mire ālām se mansūb na kar
mujh se mat maañg mirā naam mire saath na chal
tū bhī kho jā.egī Tapke hue aañsū kī tarah
dekh ai gardish-e-ayyām mire saath na chal
merī dīvār ko tū kitnā sambhālegā 'shakīl'
TūTtā rahtā huuñ har gaam mire saath na chal
mujh pe hain saikDon ilzam mere sath na chal
tu bhi ho jaega badnam mere sath na chal
tu nai subah ke suraj ki hai ujli si kiran
main hun ek dhul bhari sham mere sath na chal
apni KHushiyan mere aalam se mansub na kar
mujh se mat mang mera nam mere sath na chal
tu bhi kho jaegi Tapke hue aansu ki tarah
dekh ai gardish-e-ayyam mere sath na chal
meri diwar ko tu kitna sambhaalega 'shakil'
TuTta rahta hun har gam mere sath na chal
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 26)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.