in shoKH hasinon ki ada aur hi kuchh hai
in shoḳh hasīnoñ kī adā aur hī kuchh hai
aur in kī adāoñ meñ mazā aur hī kuchh hai
ye dil hai magar dil meñ basā aur hī kuchh hai
dil ā.īna hai jalva-numā aur hī kuchh hai
ham aap kī mahfil meñ na aane ko na aate
kuchh aur hī samjhe the huā aur hī kuchh hai
be-ḳhud bhī haiñ hoshiyār bhī haiñ dekhne vaale
in mast nigāhoñ kī adā aur hī kuchh hai
'āzād' huuñ aur gesu-e-pechāñ meñ giraftār
kah do mujhe kyā tum ne sunā aur hī kuchh hai
in shoKH hasinon ki ada aur hi kuchh hai
aur in ki adaon mein maza aur hi kuchh hai
ye dil hai magar dil mein basa aur hi kuchh hai
dil aaina hai jalwa-numa aur hi kuchh hai
hum aap ki mahfil mein na aane ko na aate
kuchh aur hi samjhe the hua aur hi kuchh hai
be-KHud bhi hain hoshiyar bhi hain dekhne wale
in mast nigahon ki ada aur hi kuchh hai
'azad' hun aur gesu-e-pechan mein giraftar
kah do mujhe kya tum ne suna aur hi kuchh hai
- Book : muntakhab sho'raa (Pg. pdf)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.