is bar intizam to sardi ka ho gaya
is baar intizām to sardī kā ho gayā
kyā haal peḌ kaTte hī bastī kā ho gayā
is baar sañgsār hue be-gunāh log
ik rāsta badan kī bahālī kā ho gayā
jizya vasūl kījiye yā shahr ujāḌiye
ab to ḳhudā bhī aap kī marzī kā ho gayā
miTTī ke ik diye kī mujhe bad-duā lagī
lau de ke ek baar maiñ miTTī kā ho gayā
jalte makān dekh ke log itne ḳhush hue
pal meñ samāñ hī jaise divālī kā ho gayā
niklā na maiñ bhī ghar se sunī maiñ ne bhī vo chīḳh
kitnā baḌā ilāqa sipāhī kā ho gayā
is bar intizam to sardi ka ho gaya
kya haal peD kaTte hi basti ka ho gaya
is bar sangsar hue be-gunah log
ek rasta badan ki bahaali ka ho gaya
jizya wasul kijiye ya shahr ujaDiye
ab to KHuda bhi aap ki marzi ka ho gaya
miTTi ke ek diye ki mujhe bad-dua lagi
lau de ke ek bar main miTTi ka ho gaya
jalte makan dekh ke log itne KHush hue
pal mein saman hi jaise diwali ka ho gaya
nikla na main bhi ghar se suni main ne bhi wo chiKH
kitna baDa ilaqa sipahi ka ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.