jaan se kaise jaya jata hai
jaan se kaise jaayā jaatā hai
ye hunar kyā sikhāyā jaatā hai
bol kar boliyāñ parindoñ kī
in ko ghere meñ laayā jaatā hai
ba.az va.ade kiye nahīñ jaate
phir bhī un ko nibhāyā jaatā hai
maiñ na jā.ūñ kahīñ to phir dekhūñ
kis tarah merā saayā jaatā hai
sub.h ke ba.ad bhī jo raushan hoñ
in diyoñ ko bujhāyā jaatā hai
jaan se kaise jaya jata hai
ye hunar kya sikhaya jata hai
bol kar boliyan parindon ki
in ko ghere mein laya jata hai
baz wade kiye nahin jate
phir bhi un ko nibhaya jata hai
main na jaun kahin to phir dekhun
kis tarah mera saya jata hai
subh ke baad bhi jo raushan hon
in diyon ko bujhaya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.