jaan uski adaon par nikalti hi rahegi
jaan uski adaon par nikalti hi rahegi
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
MORE BYWahshat Raza Ali Kalkatvi
jaan us kī adāoñ par nikaltī hī rahegī
ye chheḌ jo chaltī hai so chaltī hī rahegī
zālim kī to aadat hai satātā hī rahegā
apnī bhī tabī.at hai bahaltī hī rahegī
dil rashk-e-adū se hai sipand-e-sar-e-ātish
ye sham.a tirī bazm meñ jaltī hī rahegī
ġhamza tirā dhokā yūñhī detā hī rahegā
talvār tire kūche meñ chaltī hī rahegī
ik aan meñ vo kuchh haiñ to ik aan meñ kuchh haiñ
karvaT mirī taqdīr badaltī hī rahegī
andāz meñ shoḳhī meñ sharārat meñ hayā meñ
vaañ ek na ik baat nikaltī hī rahegī
'vahshat' ko rahā uns jo yuuñ fann-e-suḳhan se
ye shāḳh-e-hunar phūltī-phaltī hī rahegī
jaan us ki adaon par nikalti hi rahegi
ye chheD jo chalti hai so chalti hi rahegi
zalim ki to aadat hai satata hi rahega
apni bhi tabiat hai bahalti hi rahegi
dil rashk-e-adu se hai sipand-e-sar-e-atish
ye shama teri bazm mein jalti hi rahegi
ghamza tera dhoka yunhi deta hi rahega
talwar tere kuche mein chalti hi rahegi
ek aan mein wo kuchh hain to ek aan mein kuchh hain
karwaT meri taqdir badalti hi rahegi
andaz mein shoKHi mein shararat mein haya mein
wan ek na ek baat nikalti hi rahegi
'wahshat' ko raha uns jo yun fann-e-suKHan se
ye shaKH-e-hunar phulti-phalti hi rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.