jism ki kuchh aur abhi miTTi nikal
jism kī kuchh aur abhī miTTī nikāl
aur abhī gahrā.ī se paanī nikāl
ai ḳhudā merī ragoñ meñ dauḌ jā
shāḳh-e-dil par ik harī pattī nikāl
bhej phir se apnī āvāzoñ kā rizq
phir mire sahrā se ik bastī nikāl
mujh se sāhil kī mohabbat chhīn le
mere ghar ke biich ik naddī nikāl
maiñ samundar kī tahoñ meñ qaid huuñ
mere andar se koī kashtī nikāl
jism ki kuchh aur abhi miTTi nikal
aur abhi gahrai se pani nikal
ai KHuda meri ragon mein dauD ja
shaKH-e-dil par ek hari patti nikal
bhej phir se apni aawazon ka rizq
phir mere sahra se ek basti nikal
mujh se sahil ki mohabbat chhin le
mere ghar ke bich ek naddi nikal
main samundar ki tahon mein qaid hun
mere andar se koi kashti nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.