jo ishq chahta hai wo hona nahin hai aaj
jo ishq chāhtā hai vo honā nahīñ hai aaj
ḳhud ko bahāl karnā hai khonā nahīñ hai aaj
āñkhoñ ne dekhte hī use ġhul machā diyā
tai to yahī huā thā ki ronā nahīñ hai aaj
ye raat ahl-e-hijr ke ḳhvāboñ kī raat hai
qissa tamām karnā hai sonā nahīñ hai aaj
jo apne ghar meñ hai vo hai bāzār meñ nahīñ
honā kisī kā shahr meñ honā nahīñ hai aaj
phir tifl-e-dil hai daulat-e-duniyā pe girya-bār
aur mere paas koī khilaunā nahīñ hai aaj
jo ishq chahta hai wo hona nahin hai aaj
KHud ko bahaal karna hai khona nahin hai aaj
aankhon ne dekhte hi use ghul macha diya
tai to yahi hua tha ki rona nahin hai aaj
ye raat ahl-e-hijr ke KHwabon ki raat hai
qissa tamam karna hai sona nahin hai aaj
jo apne ghar mein hai wo hai bazar mein nahin
hona kisi ka shahr mein hona nahin hai aaj
phir tifl-e-dil hai daulat-e-duniya pe girya-bar
aur mere pas koi khilauna nahin hai aaj
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 46)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.