kab talak muddaa kahe koi
kab talak mudda.ā kahe koī
na suno tum to kyā kahe koī
ġhairat-e-ishq ko qubūl nahīñ
ki tujhe bevafā kahe koī
minnat-e-nā-ḳhudā nahīñ manzūr
chāhe us ko ḳhudā kahe koī
har koī apne ġham meñ hai masrūf
kis ko dard-āshnā kahe koī
kaun achchhā hai is zamāne meñ
kyuuñ kisī ko burā kahe koī
koī to haq-shanās ho yārab
zulm ko nā-ravāñ kahe koī
vo na samjheñge in kināyoñ ko
jo kahe barmalā kahe koī
aarzū hai ki merā qissa-e-shauq
aaj mere sivā kahe koī
jī meñ aatā hai kuchh kahūñ 'nāsir'
kyā ḳhabar sun ke kyā kahe koī
kab talak muddaa kahe koi
na suno tum to kya kahe koi
ghairat-e-ishq ko qubul nahin
ki tujhe bewafa kahe koi
minnat-e-na-KHuda nahin manzur
chahe us ko KHuda kahe koi
har koi apne gham mein hai masruf
kis ko dard-ashna kahe koi
kaun achchha hai is zamane mein
kyun kisi ko bura kahe koi
koi to haq-shanas ho yarab
zulm ko na-rawan kahe koi
wo na samjhenge in kinayon ko
jo kahe barmala kahe koi
aarzu hai ki mera qissa-e-shauq
aaj mere siwa kahe koi
ji mein aata hai kuchh kahun 'nasir'
kya KHabar sun ke kya kahe koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.