kabhi saya hai kabhi dhup muqaddar mera
kabhī saaya hai kabhī dhuup muqaddar merā
hotā rahtā hai yuuñ hī qarz barābar merā
TuuT jaate haiñ kabhī mere kināre mujh meñ
Duub jaatā hai kabhī mujh meñ samundar merā
kisī sahrā meñ bichhaḌ jā.eñge sab yaar mire
kisī jañgal meñ bhaTak jaa.e. gā lashkar merā
bā-vafā thā to mujhe pūchhne vaale bhī na the
be-vafā huuñ to huā naam bhī ghar ghar merā
kitne hañste hue mausam abhī aate lekin
ek hī dhuup ne kumhlā diyā manzar merā
āḳhirī jur.a-e-pur-kaif ho shāyad baaqī
ab jo chhalkā to chhalak jaa.e gā sāġhar merā
kabhi saya hai kabhi dhup muqaddar mera
hota rahta hai yun hi qarz barabar mera
TuT jate hain kabhi mere kinare mujh mein
Dub jata hai kabhi mujh mein samundar mera
kisi sahra mein bichhaD jaenge sab yar mere
kisi jangal mein bhaTak jae ga lashkar mera
ba-wafa tha to mujhe puchhne wale bhi na the
be-wafa hun to hua nam bhi ghar ghar mera
kitne hanste hue mausam abhi aate lekin
ek hi dhup ne kumhla diya manzar mera
aaKHiri jura-e-pur-kaif ho shayad baqi
ab jo chhalka to chhalak jae ga saghar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.