kamre mein dhuan dard ki pahchan bana tha
kamre meñ dhuāñ dard kī pahchān banā thā
kal raat koī phir mirā mehmān banā thā
bistar meñ chalī aa.eñ machaltī huī kirneñ
āġhosh meñ takiya thā so anjān banā thā
vo maiñ thā mirā saaya thā yā saa.e kā saaya
ā.īna muqābil thā maiñ hairān banā thā
nazroñ se churātā rahā jismoñ kī halāvat
sunte haiñ koī sāhib-e-īmān banā thā
naddī meñ chhupā chāñd thā sāhil pe ḳhamoshī
har rañg lahū-rañg kā zindān banā thā
harfoñ kā banā thā ki ma.ānī kā ḳhazīna
har sher mirā bahs kā unvān banā thā
kamre mein dhuan dard ki pahchan bana tha
kal raat koi phir mera mehman bana tha
bistar mein chali aaen machalti hui kirnen
aaghosh mein takiya tha so anjaan bana tha
wo main tha mera saya tha ya sae ka saya
aaina muqabil tha main hairan bana tha
nazron se churaata raha jismon ki halawat
sunte hain koi sahib-e-iman bana tha
naddi mein chhupa chand tha sahil pe KHamoshi
har rang lahu-rang ka zindan bana tha
harfon ka bana tha ki maani ka KHazina
har sher mera bahs ka unwan bana tha
- Book : shab-khoon(web site) (Pg. 71)
- Edition : 43
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.