KHanjar chamka raat ka sina chaak hua
ḳhanjar chamkā raat kā siina chaak huā
jañgal jañgal sannāTā saffāk huā
zaḳhm lagā kar us kā bhī kuchh haath khulā
maiñ bhī dhokā khā kar kuchh chālāk huā
merī hī parchhā.īñ dar o dīvār pa hai
sub.h huī nairañg tamāshā ḳhaak huā
kaisā dil kā charāġh kahāñ kā dil kā charāġh
tez havāoñ meñ sho.ala ḳhāshāk huā
phuul kī pattī pattī ḳhaak pe bikhrī hai
rañg uḌā uḌte uḌte aflāk huā
har dam dil kī shāḳh laraztī rahtī thī
zard havā lahrā.ī qissa paak huā
ab us kī talvār mirī gardan hogī
kab kā ḳhālī 'zeb' mirā fitrāk huā
KHanjar chamka raat ka sina chaak hua
jangal jangal sannaTa saffak hua
zaKHm laga kar us ka bhi kuchh hath khula
main bhi dhoka kha kar kuchh chaalak hua
meri hi parchhain dar o diwar pa hai
subh hui nairang tamasha KHak hua
kaisa dil ka charagh kahan ka dil ka charagh
tez hawaon mein shoala KHashak hua
phul ki patti patti KHak pe bikhri hai
rang uDa uDte uDte aflak hua
har dam dil ki shaKH larazti rahti thi
zard hawa lahrai qissa pak hua
ab us ki talwar meri gardan hogi
kab ka KHali 'zeb' mera fitrak hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.