khuli thi aankh samundar ki mauj-e-KHwab tha wo
khulī thī aañkh samundar kī mauj-e-ḳhvāb thā vo
kahīñ pata na thā us kā ki naqsh-e-āb thā vo
ulaT rahī thiiñ havā.eñ varaq varaq us kā
likhī ga.ī thī jo miTTī pe vo kitāb thā vo
ġhubār-e-rañg-e-talab chhaT gayā to kyā dekhā
sulagtī ret ke sahrā meñ ik sarāb thā vo
sab us kī laash ko ghere hue khaḌe the ḳhamosh
tamām tishna savālāt kā javāb thā vo
vo mere sāmne ḳhanjar-ba-kaf khaḌā thā 'zeb'
maiñ dekhtā rahā us ko ki be-naqāb thā vo
khuli thi aankh samundar ki mauj-e-KHwab tha wo
kahin pata na tha us ka ki naqsh-e-ab tha wo
ulaT rahi thin hawaen waraq waraq us ka
likhi gai thi jo miTTi pe wo kitab tha wo
ghubar-e-rang-e-talab chhaT gaya to kya dekha
sulagti ret ke sahra mein ek sarab tha wo
sab us ki lash ko ghere hue khaDe the KHamosh
tamam tishna sawalat ka jawab tha wo
wo mere samne KHanjar-ba-kaf khaDa tha 'zeb'
main dekhta raha us ko ki be-naqab tha wo
- Book : Zard Zarkhez (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.