KHun bahane ke hain hazar tariq
ḳhuuñ bahāne ke haiñ hazār tarīq
rañg laane ke haiñ hazār tarīq
ka.aba-o-dair par nahīñ mauqūf
us yagāne ke haiñ hazār tarīq
koī maz.hab nahīñ zamāne kā
is purāne ke haiñ hazār tarīq
uzr-e-mastī o mai-parastī kyā
bhuul jaane ke haiñ hazār tarīq
dil-sitānī ke saikḌoñ andāz
dil satāne ke haiñ hazār tarīq
yaad meñ ḳhvāb meñ tasavvur meñ
aa ki aane ke haiñ hazār tarīq
dil-lagī dil-dahī dil-ārāmī
dil lubhāne ke haiñ hazār tarīq
dil mushabbak huā to farmāyā
aane jaane ke haiñ hazār tarīq
kis tarīqe se ho nibāh 'bayāñ'
ki zamāne ke haiñ hazār tarīq
KHun bahane ke hain hazar tariq
rang lane ke hain hazar tariq
kaba-o-dair par nahin mauquf
us yagane ke hain hazar tariq
koi mazhab nahin zamane ka
is purane ke hain hazar tariq
uzr-e-masti o mai-parasti kya
bhul jaane ke hain hazar tariq
dil-sitani ke saikDon andaz
dil satane ke hain hazar tariq
yaad mein KHwab mein tasawwur mein
aa ki aane ke hain hazar tariq
dil-lagi dil-dahi dil-arami
dil lubhane ke hain hazar tariq
dil mushabbak hua to farmaya
aane jaane ke hain hazar tariq
kis tariqe se ho nibah 'bayan'
ki zamane ke hain hazar tariq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.