koi is dil ka haal kya jaane
koī is dil kā haal kyā jaane
ek ḳhvāhish hazār tah-ḳhāne
maut ne aaj ḳhud-kushī kar lī
ziist par kyā banī ḳhudā jaane
phir huā koī bad-gumāñ ham se
phir janam le rahe haiñ afsāne
vaqt ne ye kahā hai ruk ruk kar
aaj ke dost kal ke begāne
duur se ek chīḳh ubhrī thī
ban ga.e be-shumār afsāne
ziist ke shor-o-shar meñ Duub ga.e
vaqt ko nāpne ke paimāne
kitnā mushkil hai manziloñ kā husūl
kitne āsāñ haiñ jaal phailāne
raaz ye hai ki koī raaz nahīñ
log phir bhī mujhe na pahchāne
koi is dil ka haal kya jaane
ek KHwahish hazar tah-KHane
maut ne aaj KHud-kushi kar li
zist par kya bani KHuda jaane
phir hua koi bad-guman hum se
phir janam le rahe hain afsane
waqt ne ye kaha hai ruk ruk kar
aaj ke dost kal ke begane
dur se ek chiKH ubhri thi
ban gae be-shumar afsane
zist ke shor-o-shar mein Dub gae
waqt ko napne ke paimane
kitna mushkil hai manzilon ka husul
kitne aasan hain jal phailane
raaz ye hai ki koi raaz nahin
log phir bhi mujhe na pahchane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.