kuchh tabiat aaj-kal pata hun ghabrai hui
kuchh tabiat aaj-kal pata hun ghabrai hui
Parveen Umm-e-Mushtaq
MORE BYParveen Umm-e-Mushtaq
kuchh tabī'at āj-kal paatā huuñ ghabrā.ī huī
shahr bhar meñ hai udāsī har taraf chhā.ī huī
hā.e-re ġhārat-gar-e-sabr-o-shakebā.ī huī
vo tirī tirchhī nazar vo aañkh sharmā.ī huī
ai sabā chaltī hai kyuuñ is darja itrā.ī huī
kyā nahīñ hai tū vahī us gul kī Thukrā.ī huī
vasl meñ achchhī tarah jab bāda-paimā.ī huī
uḌ ga.ī kāfūr ban ban kar hayā aa.ī huī
shab ko jab abrū-o-mizhgāñ kī saf-ārā.ī huī
shoḳhiyoñ meñ dab ga.ī sharm-o-hayā aa.ī huī
haa.e merī be-qarārī aur un kā iztirāb
aur chalte vaqt kī bāteñ vo ghabrā.ī huī
qabr tak pahūñchā ga.e saare azīz-o-aqribā
aage aage phir rafīq-e-rāh tanhā.ī huī
haañ tumhīñ par jaan detā huuñ tumhīñ par huuñ nisār
haañ tumhīñ par hai tabī'at TuuT kar aa.ī huī
TukḌe TukḌe haiñ jigar ke shīsha-e-dil chūr-chūr
ye qayāmat hai tumhārī chaal kī Dhaa.ī huī
jis meñ tāqat hai na harakat hai na ḳhvāhish hai na jaañ
dil nahīñ ik laash hai siine meñ dafnā.ī huī
baiThte hī baiThte mahfil meñ be-ḳhud ho gayā
dekhte hī dekhte ruḳhsat tavānā.ī huī
ḳhuub rone do ki ye roke se ruk saktā nahīñ
mere dil par hai abhī ġham kī ghaTā chhā.ī huī
ābdīda ho ke vo aapas meñ kahnā alvidāa'
us kī kam merī sivā āvāz bharrā.ī huī
minnateñ kartā huuñ dar-guzro ḳhudārā baḳhsh do
ab to nādānī huī yā mujh se dānā.ī huī
shikva-e-va.ada-ḳhilāfī kā milā achchhā javāb
peshgī rakkhī thī ik ummīd bar aa.ī huī
huur par merī tabī'at aa.e kyā maqdūr hai
tauba tauba ye bhī terī tarah harjā.ī huī
ḳhud hī socho dekhne vāloñ kā is meñ kyā qusūr
jab tamāshā tum hue ḳhilqat tamāshā.ī huī
rote rote Thahr jaatā huuñ tirī sar kī qasam
yaad aa jaatī hai jab vo baat samjhā.ī huī
de ke dil ġhusse meñ vāpas un ko pachhtānā paḌā
kyā raqam jaatī rahī hai haath se aa.ī huī
ḳhush-nasībī us jagah kī tū jahāñ rakkhe qadam
rail bhī phirtī hai station par itrā.ī huī
jab kahā us ne ki martā huuñ to kosā is tarah
tujh ko aa.e yā-ilāhī ġhair kī aa.ī huī
rabt baḌhne par khulā kartā hai kuchh achchhā burā
is se kyā hotā hai gar rasmī shanāsā.ī huī
'ishq-bāzī aur shai hai fisq hai kuchh aur chiiz
nek-nāmī ko na kah 'parvīñ' ki rusvā.ī huī
kuchh tabi'at aaj-kal pata hun ghabrai hui
shahr bhar mein hai udasi har taraf chhai hui
hae-re ghaarat-gar-e-sabr-o-shakebai hui
wo teri tirchhi nazar wo aankh sharmai hui
ai saba chalti hai kyun is darja itrai hui
kya nahin hai tu wahi us gul ki Thukrai hui
wasl mein achchhi tarah jab baada-paimai hui
uD gai kafur ban ban kar haya aai hui
shab ko jab abru-o-mizhgan ki saf-arai hui
shoKHiyon mein dab gai sharm-o-haya aai hui
hae meri be-qarari aur un ka iztirab
aur chalte waqt ki baaten wo ghabrai hui
qabr tak pahuncha gae sare aziz-o-aqriba
aage aage phir rafiq-e-rah tanhai hui
han tumhin par jaan deta hun tumhin par hun nisar
han tumhin par hai tabi'at TuT kar aai hui
TukDe TukDe hain jigar ke shisha-e-dil chur-chur
ye qayamat hai tumhaari chaal ki Dhai hui
jis mein taqat hai na harakat hai na KHwahish hai na jaan
dil nahin ek lash hai sine mein dafnai hui
baiThte hi baiThte mahfil mein be-KHud ho gaya
dekhte hi dekhte ruKHsat tawanai hui
KHub rone do ki ye roke se ruk sakta nahin
mere dil par hai abhi gham ki ghaTa chhai hui
aabdida ho ke wo aapas mein kahna alwidaa'
us ki kam meri siwa aawaz bharrai hui
minnaten karta hun dar-guzro KHudara baKHsh do
ab to nadani hui ya mujh se danai hui
shikwa-e-wada-KHilafi ka mila achchha jawab
peshgi rakkhi thi ek ummid bar aai hui
hur par meri tabi'at aae kya maqdur hai
tauba tauba ye bhi teri tarah harjai hui
KHud hi socho dekhne walon ka is mein kya qusur
jab tamasha tum hue KHilqat tamashai hui
rote rote Thahr jata hun teri sar ki qasam
yaad aa jati hai jab wo baat samjhai hui
de ke dil ghusse mein wapas un ko pachhtana paDa
kya raqam jati rahi hai hath se aai hui
KHush-nasibi us jagah ki tu jahan rakkhe qadam
rail bhi phirti hai station par itrai hui
jab kaha us ne ki marta hun to kosa is tarah
tujh ko aae ya-ilahi ghair ki aai hui
rabt baDhne par khula karta hai kuchh achchha bura
is se kya hota hai gar rasmi shanasai hui
'ishq-bazi aur shai hai fisq hai kuchh aur chiz
nek-nami ko na kah 'parwin' ki ruswai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.