lakh taqdir pe roe koi rone wala
laakh taqdīr pe ro.e koī rone vaalā
sirf rone se to kuchh bhī nahīñ hone vaalā
bār-e-ġham gul hai ki patthar hai ye mauqūf is par
kis salīqe se ise Dhotā hai Dhone vaalā
koī tadbīr yā tā'vīz nahīñ kaam aatī
hādsa hotā hai har haal meñ hone vaalā
haath meñ tifl ke hosh aate hī cell-phone aayā
ab nahīñ dikhtā mohalle meñ khilaune vaalā
tū hai shā'ir tujhe hargiz na suhā.e ronā
terā har ashk hai gītoñ meñ pirone vaalā
khaul uThtā hai lahū dekh ke apnā yaaro
fasl ko kaaTe na jab fasl ko bone vaalā
maut kī god meñ jab tak nahīñ tū so jaatā
tū 'sadā' chain se hargiz nahīñ sone vaalā
lakh taqdir pe roe koi rone wala
sirf rone se to kuchh bhi nahin hone wala
bar-e-gham gul hai ki patthar hai ye mauquf is par
kis saliqe se ise Dhota hai Dhone wala
koi tadbir ya ta'wiz nahin kaam aati
hadsa hota hai har haal mein hone wala
hath mein tifl ke hosh aate hi cell-phone aaya
ab nahin dikhta mohalle mein khilaune wala
tu hai sha'ir tujhe hargiz na suhae rona
tera har ashk hai giton mein pirone wala
khaul uThta hai lahu dekh ke apna yaro
fasl ko kaTe na jab fasl ko bone wala
maut ki god mein jab tak nahin tu so jata
tu 'sada' chain se hargiz nahin sone wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.