lamhon ke azab sah raha hun
lamhoñ ke azaab sah rahā huuñ
maiñ apne vajūd kī sazā huuñ
zaḳhmoñ ke gulāb khil rahe haiñ
ḳhushbū ke hujūm meñ khaḌā huuñ
is dasht-e-talab meñ ek maiñ bhī
sadiyoñ kī thakī huī sadā huuñ
is shahr-e-tarab ke shor-o-ġhul meñ
tasvīr-e-sukūt ban gayā huuñ
benām-o-numūd zindagī kā
ik bojh uThā.e phir rahā huuñ
shāyad na mile mujhe rihā.ī
yādoñ kā asiir ho gayā huuñ
ik aisā chaman hai jis kī ḳhushbū
sāñsoñ meñ basā.e phir rahā huuñ
ik aisī galī hai jis kī ḳhātir
darmāñda kū-ba-kū rahā huuñ
ik aisī zamīñ hai jis ko chhū kar
taqdīs-e-haram se āshnā huuñ
ai mujh ko fareb dene vaale
maiñ tujh pe yaqīn kar chukā huuñ
maiñ tere qarīb aate aate
kuchh aur bhī duur ho gayā huuñ
lamhon ke azab sah raha hun
main apne wajud ki saza hun
zaKHmon ke gulab khil rahe hain
KHushbu ke hujum mein khaDa hun
is dasht-e-talab mein ek main bhi
sadiyon ki thaki hui sada hun
is shahr-e-tarab ke shor-o-ghul mein
taswir-e-sukut ban gaya hun
benam-o-numud zindagi ka
ek bojh uThae phir raha hun
shayad na mile mujhe rihai
yaadon ka asir ho gaya hun
ek aisa chaman hai jis ki KHushbu
sanson mein basae phir raha hun
ek aisi gali hai jis ki KHatir
darmanda ku-ba-ku raha hun
ek aisi zamin hai jis ko chhu kar
taqdis-e-haram se aashna hun
ai mujh ko fareb dene wale
main tujh pe yaqin kar chuka hun
main tere qarib aate aate
kuchh aur bhi dur ho gaya hun
- Book : shab-khoon-shumara-number-49 (Pg. 39)
- Edition : 1970
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.