apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
apnī rusvā.ī tire naam kā charchā dekhūñ
ik zarā sher kahūñ aur maiñ kyā kyā dekhūñ
niiñd aa jaa.e to kyā mahfileñ barpā dekhūñ
aañkh khul jaa.e to tanhā.ī kā sahrā dekhūñ
shaam bhī ho ga.ī dhuñdlā ga.iiñ āñkheñ bhī mirī
bhūlne vaale maiñ kab tak tirā rastā dekhūñ
ek ik kar ke mujhe chhoḌ ga.iiñ sab sakhiyāñ
aaj maiñ ḳhud ko tirī yaad meñ tanhā dekhūñ
kaash sandal se mirī maañg ujāle aa kar
itne ġhairoñ meñ vahī haath jo apnā dekhūñ
tū mirā kuchh nahīñ lagtā hai magar jān-e-hayāt
jaane kyuuñ tere liye dil ko dhḌaknā dekhūñ
band kar ke mirī āñkheñ vo sharārat se hañse
būjhe jaane kā maiñ har roz tamāshā dekhūñ
sab zideñ us kī maiñ puurī karūñ har baat sunūñ
ek bachche kī tarah se use hañstā dekhūñ
mujh pe chhā jaa.e vo barsāt kī ḳhushbū kī tarah
añg añg apnā isī rut meñ mahaktā dekhūñ
phuul kī tarah mire jism kā har lab khul jaa.e
pankhuḌī pankhuḌī un hoñToñ kā saayā dekhūñ
maiñ ne jis lamhe ko puujā hai use bas ik baar
ḳhvāb ban kar tirī āñkhoñ meñ utartā dekhūñ
tū mirī tarah se yaktā hai magar mere habīb
jī meñ aatā hai koī aur bhī tujh sā dekhūñ
TuuT jaa.eñ ki pighal jaa.eñ mire kachche ghaḌe
tujh ko maiñ dekhūñ ki ye aag kā dariyā dekhūñ
apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun
nind aa jae to kya mahfilen barpa dekhun
aankh khul jae to tanhai ka sahra dekhun
sham bhi ho gai dhundla gain aankhen bhi meri
bhulne wale main kab tak tera rasta dekhun
ek ek kar ke mujhe chhoD gain sab sakhiyan
aaj main KHud ko teri yaad mein tanha dekhun
kash sandal se meri mang ujale aa kar
itne ghairon mein wahi hath jo apna dekhun
tu mera kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayat
jaane kyun tere liye dil ko dhDakna dekhun
band kar ke meri aankhen wo shararat se hanse
bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhun
sab ziden us ki main puri karun har baat sunun
ek bachche ki tarah se use hansta dekhun
mujh pe chha jae wo barsat ki KHushbu ki tarah
ang ang apna isi rut mein mahakta dekhun
phul ki tarah mere jism ka har lab khul jae
pankhuDi pankhuDi un honTon ka saya dekhun
main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
KHwab ban kar teri aankhon mein utarta dekhun
tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhun
TuT jaen ki pighal jaen mere kachche ghaDe
tujh ko main dekhun ki ye aag ka dariya dekhun
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khshbo) (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.