jab tere nain muskuraate hain
jab tire nain muskurāte haiñ
ziist ke rañj bhuul jaate haiñ
kyuuñ shikan Dālte ho māthe par
bhuul kar aa ga.e haiñ jaate haiñ
kashtiyāñ yuuñ bhī Duub jaatī haiñ
nāḳhudā kis liye Darāte haiñ
ik hasīñ aañkh ke ishāre par
qāfile raah bhuul jaate haiñ
jab tere nain muskuraate hain
zist ke ranj bhul jate hain
kyun shikan Dalte ho mathe par
bhul kar aa gae hain jate hain
kashtiyan yun bhi Dub jati hain
naKHuda kis liye Daraate hain
ek hasin aankh ke ishaare par
qafile rah bhul jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.