koi fariyaad tere dil mein dabi ho jaise
koī fariyād tire dil meñ dabī ho jaise
tū ne āñkhoñ se koī baat kahī ho jaise
jāgte jāgte ik umr kaTī ho jaise
jaan baaqī hai magar saañs rukī ho jaise
har mulāqāt pe mahsūs yahī hotā hai
mujh se kuchh terī nazar pūchh rahī ho jaise
raah chalte hue aksar ye gumāñ hotā hai
vo nazar chhup ke mujhe dekh rahī ho jaise
ek lamhe meñ simaT aaya hai sadiyoñ kā safar
zindagī tez bahut tez chalī ho jaise
is tarah pahroñ tujhe sochtā rahtā huuñ maiñ
merī har saañs tire naam likhī ho jaise
koi fariyaad tere dil mein dabi ho jaise
tu ne aankhon se koi baat kahi ho jaise
jagte jagte ek umr kaTi ho jaise
jaan baqi hai magar sans ruki ho jaise
har mulaqat pe mahsus yahi hota hai
mujh se kuchh teri nazar puchh rahi ho jaise
rah chalte hue aksar ye guman hota hai
wo nazar chhup ke mujhe dekh rahi ho jaise
ek lamhe mein simaT aaya hai sadiyon ka safar
zindagi tez bahut tez chali ho jaise
is tarah pahron tujhe sochta rahta hun main
meri har sans tere nam likhi ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.