wo ghazal walon ka uslub samajhte honge
vo ġhazal vāloñ kā uslūb samajhte hoñge
chāñd kahte haiñ kise ḳhuub samajhte hoñge
itnī miltī hai mirī ġhazloñ se sūrat terī
log tujh ko mirā mahbūb samajhte hoñge
maiñ samajhtā thā mohabbat kī zabāñ ḳhushbū hai
phuul se log use ḳhuub samajhte hoñge
dekh kar phuul ke aurāq pe shabnam kuchh log
tirā ashkoñ bharā maktūb samajhte hoñge
bhuul kar apnā zamāna ye zamāne vaale
aaj ke pyaar ko ma.ayūb samajhte hoñge
wo ghazal walon ka uslub samajhte honge
chand kahte hain kise KHub samajhte honge
itni milti hai meri ghazlon se surat teri
log tujh ko mera mahbub samajhte honge
main samajhta tha mohabbat ki zaban KHushbu hai
phul se log use KHub samajhte honge
dekh kar phul ke auraq pe shabnam kuchh log
tera ashkon bhara maktub samajhte honge
bhul kar apna zamana ye zamane wale
aaj ke pyar ko mayub samajhte honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.