ye zulf agar khul ke bikhar jae to achchha
Interesting Fact
Film: Kajal (1965)
ye zulf agar khul ke bikhar jaa.e to achchhā
is raat kī taqdīr sañvar jaa.e to achchhā
jis tarah se thoḌī sī tire saath kaTī hai
baaqī bhī usī tarah guzar jaa.e to achchhā
duniyā kī nigāhoñ meñ bhalā kyā hai burā kyā
ye bojh agar dil se utar jaa.e to achchhā
vaise to tumhīñ ne mujhe barbād kiyā hai
ilzām kisī aur ke sar jaa.e to achchhā
ye zulf agar khul ke bikhar jae to achchha
is raat ki taqdir sanwar jae to achchha
jis tarah se thoDi si tere sath kaTi hai
baqi bhi usi tarah guzar jae to achchha
duniya ki nigahon mein bhala kya hai bura kya
ye bojh agar dil se utar jae to achchha
waise to tumhin ne mujhe barbaad kiya hai
ilzam kisi aur ke sar jae to achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.