masum KHwahishon ki pashemaniyon mein tha
mā'sūm ḳhvāhishoñ kī pashemāniyoñ meñ thā
jiine kā lutf to inhīñ nādāniyoñ meñ thā
āñkheñ bichhāte har kas-o-nā-kas kī raah meñ
yuuñ jazba-e-ḳhulūs farāvāniyoñ meñ thā
naddī meñ pahroñ jhāñkte rahte the pul se ham
kyā bhed thā jo bahte hue pāniyoñ meñ thā
patthar bane khaḌe the tajassus ke dasht meñ
dil gum tilism-e-shauq kī hairāniyoñ meñ thā
yuuñ reñg reñg kar na guzarte the roz o shab
dariyā-e-zīst bhī kabhī jaulāniyoñ meñ thā
sanjīdgī kī gahrī lakīroñ meñ Dhal gayā
mā'sūmiyat kā nuur jo peshāniyoñ meñ thā
ik ghar banā ke kitne jhameloñ meñ phañs ga.e
kitnā sukūn be-sar-o-sāmāniyoñ meñ thā
din aarzū ke yūñhī udāsī meñ kaT ga.e
vo apne dukh meñ apnī pareshāniyoñ meñ thā
us ke liye bhī zindagī pal pal 'azāb thī
vo bhī sulagte vaqt ke zindāniyoñ meñ thā
vo zabt o e'tidāl o tavāzun kahāñ 'riyāz'
me'yār-e-fan ki jo kabhī yūnāniyoñ meñ thā
ma'sum KHwahishon ki pashemaniyon mein tha
jine ka lutf to inhin nadaniyon mein tha
aankhen bichhate har kas-o-na-kas ki rah mein
yun jazba-e-KHulus farawaniyon mein tha
naddi mein pahron jhankte rahte the pul se hum
kya bhed tha jo bahte hue paniyon mein tha
patthar bane khaDe the tajassus ke dasht mein
dil gum tilism-e-shauq ki hairaniyon mein tha
yun reng reng kar na guzarte the roz o shab
dariya-e-zist bhi kabhi jaulaniyon mein tha
sanjidgi ki gahri lakiron mein Dhal gaya
ma'sumiyat ka nur jo peshaniyon mein tha
ek ghar bana ke kitne jhamelon mein phans gae
kitna sukun be-sar-o-samaniyon mein tha
din aarzu ke yunhi udasi mein kaT gae
wo apne dukh mein apni pareshaniyon mein tha
us ke liye bhi zindagi pal pal 'azab thi
wo bhi sulagte waqt ke zindaniyon mein tha
wo zabt o e'tidal o tawazun kahan 'riyaz'
me'yar-e-fan ki jo kabhi yunaniyon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.