mai-kashi gardish-e-ayyam se aage na baDhi
mai-kashī gardish-e-ayyām se aage na baḌhī
merī madhoshī mire jaam se aage na baḌhī
dil kī hasrat dil-e-nākām se aage na baḌhī
zindagī maut ke paiġhām se aage na baḌhī
vo ga.e ghar ke charāġhoñ ko bujhā kar mere
phir mulāqāt mirī shaam se aage na baḌhī
rah ga.ī ghuT ke tamannā yūñhī dil meñ ai dost
guftugū apnī tire naam se aage na baḌhī
vo mujhe chhoḌ ke ik shaam ga.e the 'nāsir'
zindagī apnī usī shaam se aage na baḌhī
mai-kashi gardish-e-ayyam se aage na baDhi
meri madhoshi mere jam se aage na baDhi
dil ki hasrat dil-e-nakaam se aage na baDhi
zindagi maut ke paigham se aage na baDhi
wo gae ghar ke charaghon ko bujha kar mere
phir mulaqat meri sham se aage na baDhi
rah gai ghuT ke tamanna yunhi dil mein ai dost
guftugu apni tere nam se aage na baDhi
wo mujhe chhoD ke ek sham gae the 'nasir'
zindagi apni usi sham se aage na baDhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.