main dil ko chir ke rakh dun ye ek surat hai
maiñ dil ko chiir ke rakh duuñ ye ek sūrat hai
bayāñ to ho nahīñ saktī jo apnī hālat hai
mire safīne ko dhāre pe Daal de koī
maiñ Duub jā.ūñ ki tir jā.ūñ merī qismat hai
ragoñ meñ dauḌtī haiñ bijliyāñ lahū ke evaz
shabāb kahte haiñ jis chiiz ko qayāmat hai
latāfateñ simaT aatī haiñ ḳhuld kī dil meñ
tasavvurāt meñ allāh kitnī qudrat hai
main dil ko chir ke rakh dun ye ek surat hai
bayan to ho nahin sakti jo apni haalat hai
mere safine ko dhaare pe Dal de koi
main Dub jaun ki tir jaun meri qismat hai
ragon mein dauDti hain bijliyan lahu ke ewaz
shabab kahte hain jis chiz ko qayamat hai
latafaten simaT aati hain KHuld ki dil mein
tasawwuraat mein allah kitni qudrat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.