main wahi dasht hamesha ka tarasne wala
maiñ vahī dasht hamesha kā tarasne vaalā
tū magar kaun sā bādal hai barasne vaalā
sañg ban jaane ke ādāb sikhā.e maiñ ne
dil ajab ġhuncha-e-nau-ras thā bikasne vaalā
husn vo TūTtā nashsha ki mohabbat māñge
ḳhuun rotā hai mire haal pa hañsne vaalā
ranj ye hai ki hunar-mand bahut haiñ ham bhī
varna vo shola-e-isyāñ thā jhulasne vaalā
vo ḳhudā hai to mirī ruuh meñ iqrār kare
kyuuñ pareshān kare duur kā basne vaalā
main wahi dasht hamesha ka tarasne wala
tu magar kaun sa baadal hai barasne wala
sang ban jaane ke aadab sikhae main ne
dil ajab ghuncha-e-nau-ras tha bikasne wala
husn wo TuTta nashsha ki mohabbat mange
KHun rota hai mere haal pa hansne wala
ranj ye hai ki hunar-mand bahut hain hum bhi
warna wo shola-e-isyan tha jhulasne wala
wo KHuda hai to meri ruh mein iqrar kare
kyun pareshan kare dur ka basne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.