mar ke bhī qāmat-e-mahbūb kī ulfat na ga.ī
ho chukā hashr bhī lekin ye qayāmat na ga.ī
shab ko mai ḳhuub sī pī sub.h ko tauba kar lī
riñd ke riñd rahe haath se jannat na ga.ī
bosa le kar jo mukartā huuñ to vo kahte haiñ
shā.irī kā asar aur jhuuT kī aadat na ga.ī
daaġh miTte na sunā dil se tirī hasrat kā
aa.ī jis ghar meñ phir us ghar se ye daulat na ga.ī
paas baiThe bhī to kyā jald uThe ghabrā kar
merā saudā to gayā aap kī vahshat na ga.ī
na huā saaf dil-e-yār kisī tarah 'jalāl'
ḳhaak meñ mil ga.e ham us kī kudūrat na ga.ī
mar ke bhi qamat-e-mahbub ki ulfat na gai
ho chuka hashr bhi lekin ye qayamat na gai
shab ko mai KHub si pi subh ko tauba kar li
rind ke rind rahe hath se jannat na gai
bosa le kar jo mukarta hun to wo kahte hain
shairi ka asar aur jhuT ki aadat na gai
dagh miTte na suna dil se teri hasrat ka
aai jis ghar mein phir us ghar se ye daulat na gai
pas baiThe bhi to kya jald uThe ghabra kar
mera sauda to gaya aap ki wahshat na gai
na hua saf dil-e-yar kisi tarah 'jalal'
KHak mein mil gae hum us ki kudurat na gai
Source :
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 44)
-
Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا
(2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.