mehrban maut ne maton ko jila rakkha hai
mehrbāñ maut ne matoñ ko jilā rakkhā hai
varna jiine meñ yahāñ ḳhaak mazā rakkhā hai
ik parinda hai kahīñ qaid mire siine meñ
us parinde ne bahut shor machā rakkhā hai
us se milne ke liye jaa.e to kyā jaa.e koī
us ne darvāze pe ā.īna lagā rakkhā hai
apne andar maiñ bahut kuchh huuñ magar is se kyā
mere bāhar to mujhe sab ne miTā rakkhā hai
mehrban maut ne maton ko jila rakkha hai
warna jine mein yahan KHak maza rakkha hai
ek parinda hai kahin qaid mere sine mein
us parinde ne bahut shor macha rakkha hai
us se milne ke liye jae to kya jae koi
us ne darwaze pe aaina laga rakkha hai
apne andar main bahut kuchh hun magar is se kya
mere bahar to mujhe sab ne miTa rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.