mere ashjar azadar hue jate hain
mere ashjār azādār hue jaate haiñ
gaañv ke gaañv jo bāzār hue jaate haiñ
abhī hijrat kā irāda bhī nahīñ hai merā
rāste kis liye dushvār hue jaate haiñ
jo farīqain ke mābain sulajh sakte the
mas.ale surḳhi-e-aḳhbār hue jaate haiñ
sāhab-e-izz-o-sharaf ek nazar ham par bhī
terī duniyā meñ bahut ḳhaar hue jaate haiñ
aisī ashyā-e-zamāna meñ kashish hai ki sabhī
dekh duniyā ke talabgār hue jaate haiñ
maiñ kināre pe khaḌā dekh rahā huuñ aur log
jast bhar bhar ke sabhī paar hue jaate haiñ
ḳhushk pattoñ kī tarah ham bhī to 'ahmad'-irfān
TuuT kar shāḳh se be-kār hue jaate haiñ
mere ashjar azadar hue jate hain
ganw ke ganw jo bazar hue jate hain
abhi hijrat ka irada bhi nahin hai mera
raste kis liye dushwar hue jate hain
jo fariqain ke mabain sulajh sakte the
masale surKHi-e-aKHbar hue jate hain
sahab-e-izz-o-sharaf ek nazar hum par bhi
teri duniya mein bahut KHar hue jate hain
aisi ashya-e-zamana mein kashish hai ki sabhi
dekh duniya ke talabgar hue jate hain
main kinare pe khaDa dekh raha hun aur log
jast bhar bhar ke sabhi par hue jate hain
KHushk patton ki tarah hum bhi to 'ahmad'-irfan
TuT kar shaKH se be-kar hue jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.