mujhse milne shab-e-gham aur to kaun aaega
mujh se milne shab-e-ġham aur to kaun aa.egā
merā saaya hai jo dīvār pe jam jā.egā
Thahro Thahro mire asnām-e-ḳhayālī Thahro
merā dil gosha-e-tanhā.ī meñ ghabrā.egā
log dete rahe kyā kyā na dilāse mujh ko
zaḳhm gahrā hī sahī zaḳhm hai bhar jā.egā
azm puḳhta hī sahī tark-e-vafā kā lekin
muntazir huuñ koī aa kar mujhe samjhā.egā
aañkh jhapke na kahīñ raah añdherī hī sahī
aage chal kar vo kisī moḌ pe mil jā.egā
dil sā anmol ratan kaun ḳharīdegā 'shakeb'
jab bikegā to ye be-dām hī bik jā.egā
mujh se milne shab-e-gham aur to kaun aaega
mera saya hai jo diwar pe jam jaega
Thahro Thahro mere asnam-e-KHayali Thahro
mera dil gosha-e-tanhai mein ghabraega
log dete rahe kya kya na dilase mujh ko
zaKHm gahra hi sahi zaKHm hai bhar jaega
azm puKHta hi sahi tark-e-wafa ka lekin
muntazir hun koi aa kar mujhe samjhaega
aankh jhapke na kahin rah andheri hi sahi
aage chal kar wo kisi moD pe mil jaega
dil sa anmol ratan kaun KHaridega 'shakeb'
jab bikega to ye be-dam hi bik jaega
- Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 178)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.