murjha ke kali jhil mein girte hue bhi dekh
murjhā ke kaalī jhiil meñ girte hue bhī dekh
sūraj huuñ merā rang magar din-Dhale bhī dekh
kāġhaz kī katranoñ ko bhī kahte haiñ log phuul
rangoñ kā e'tibār hī kyā sūñgh ke bhī dekh
har chand raakh ho ke bikharnā hai raah meñ
jalte hue paroñ se uḌā huuñ mujhe bhī dekh
dushman hai raat phir bhī hai din se milī huī
sub.hoñ ke darmiyān haiñ jo fāsle bhī dekh
'ālam meñ jis kī dhuum thī us shāhkār par
dīmak ne jo likhe kabhī vo tabsire bhī dekh
tū ne kahā na thā ki maiñ kashtī pe bojh huuñ
āñkhoñ ko ab na Dhāñp mujhe Dūbte bhī dekh
us kī shikast ho na kahīñ terī bhī shikast
ye aa.ina jo TuuT gayā hai ise bhī dekh
tū hī barahna-pā nahīñ is jaltī ret par
talvoñ meñ jo havā ke haiñ vo aable bhī dekh
bichhtī thiiñ jis kī raah meñ phūloñ kī chādareñ
ab us kī ḳhaak ghaas ke pairoñ-tale bhī dekh
kyā shāḳh-e-bā-samar hai jo taktā hai farsh ko
nazreñ uThā 'shakeb' kabhī sāmne bhī dekh
murjha ke kali jhil mein girte hue bhi dekh
suraj hun mera rang magar din-Dhale bhi dekh
kaghaz ki katranon ko bhi kahte hain log phul
rangon ka e'tibar hi kya sungh ke bhi dekh
har chand rakh ho ke bikharna hai rah mein
jalte hue paron se uDa hun mujhe bhi dekh
dushman hai raat phir bhi hai din se mili hui
subhon ke darmiyan hain jo fasle bhi dekh
'alam mein jis ki dhum thi us shahkar par
dimak ne jo likhe kabhi wo tabsire bhi dekh
tu ne kaha na tha ki main kashti pe bojh hun
aankhon ko ab na Dhanp mujhe Dubte bhi dekh
us ki shikast ho na kahin teri bhi shikast
ye aaina jo TuT gaya hai ise bhi dekh
tu hi barahna-pa nahin is jalti ret par
talwon mein jo hawa ke hain wo aable bhi dekh
bichhti thin jis ki rah mein phulon ki chadaren
ab us ki KHak ghas ke pairon-tale bhi dekh
kya shaKH-e-ba-samar hai jo takta hai farsh ko
nazren uTha 'shakeb' kabhi samne bhi dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.