na jhaTko zulf se pani ye moti TuT jaenge
Interesting Fact
Film: Shehnai (1964)
na jhaTko zulf se paanī ye motī TuuT jā.eñge
tumhārā kuchh na bigḌegā magar dil TuuT jā.eñge
ye bhīgī raat ye bhīgā badan ye husn kā aalam
ye sab andāz mil kar do jahāñ ko luuT jā.eñge
ye nāzuk lab haiñ yā aapas meñ do lipTī huī kaliyāñ
zarā in ko alag kar do tarannum phuuT jā.eñge
hamārī jaan le legā ye nīchī aañkh kā jaadū
chalo achchhā huā mar kar jahāñ se chhūT jā.eñge
na jhaTko zulf se pani ye moti TuT jaenge
tumhaara kuchh na bigDega magar dil TuT jaenge
ye bhigi raat ye bhiga badan ye husn ka aalam
ye sab andaz mil kar do jahan ko luT jaenge
ye nazuk lab hain ya aapas mein do lipTi hui kaliyan
zara in ko alag kar do tarannum phuT jaenge
hamari jaan le lega ye nichi aankh ka jadu
chalo achchha hua mar kar jahan se chhuT jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.