naubat-e-giriya o be-tabi-o-zari aai
naubat-e-giriya o be-tābī-o-zārī aa.ī
baḌe hañgāme se kal yaad tumhārī aa.ī
naza.a meñ bhī vo yahāñ tak nahīñ aane detā
ai ḳhudā ġhair ko aa jaa.e hamārī aa.ī
un ko tashbīh masīhā se jo dī vo bole
aaj ma.alūm huā maut tumhārī aa.ī
kis taraf aa.e kidhar bhuul paḌe ḳhair to hai
aaj kyā thā jo tumheñ yaad hamārī aa.ī
nāla-e-bulbul-e-shaidā to sunā hañs hañs kar
ab jigar thaam ke baiTho mirī baaī aa.ī
naubat-e-giriya o be-tabi-o-zari aai
baDe hangame se kal yaad tumhaari aai
naza mein bhi wo yahan tak nahin aane deta
ai KHuda ghair ko aa jae hamari aai
un ko tashbih masiha se jo di wo bole
aaj malum hua maut tumhaari aai
kis taraf aae kidhar bhul paDe KHair to hai
aaj kya tha jo tumhein yaad hamari aai
nala-e-bulbul-e-shaida to suna hans hans kar
ab jigar tham ke baiTho meri bai aai
- Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.