pahle to miTTi ka aur pani ka andaza hua
pahle to miTTī kā aur paanī kā andāza huā
phir mujhe apnī pareshānī kā andāza huā
ai mohabbat tere dukh se dostī āsāñ na thī
tujh sā ho kar terī vīrānī kā andāza huā
umr-bhar ham ne fanā ke tajarbe ḳhud par kiye
umr-bhar meñ ālam-e-fānī kā andāza huā
ik zamāne tak badan be-ḳhvāb be-ādāb the
phir achānak apnī uryānī kā andāza huā
tere hāthoñ jal uThe ham tere hāthoñ jal bujhe
hote hote aag aur paanī kā andāza huā
sūrateñ bigḌīñ to apnī hālatoñ meñ aa.e ham
ā.īna TuuTā to hairānī kā andāza huā
pahle to miTTi ka aur pani ka andaza hua
phir mujhe apni pareshani ka andaza hua
ai mohabbat tere dukh se dosti aasan na thi
tujh sa ho kar teri virani ka andaza hua
umr-bhar hum ne fana ke tajarbe KHud par kiye
umr-bhar mein aalam-e-fani ka andaza hua
ek zamane tak badan be-KHwab be-adab the
phir achanak apni uryani ka andaza hua
tere hathon jal uThe hum tere hathon jal bujhe
hote hote aag aur pani ka andaza hua
suraten bigDin to apni haalaton mein aae hum
aaina TuTa to hairani ka andaza hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.