pahle to soch ke dozaKH mein jalata hai mujhe
pahle to soch ke dozaKH mein jalata hai mujhe
Akhtar Hoshiyarpuri
MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri
pahle to soch ke dozaḳh meñ jalātā hai mujhe
phir vo shīshe meñ mirā chehra dikhātā hai mujhe
shāyad apnā hī ta.āqub hai mujhe sadiyoñ se
shāyad apnā hī tasavvur liye jaatā hai mujhe
bāhar āvāzoñ kā ik mela lagā hai dekho
koī andar se magar toḌtā jaatā hai mujhe
yahī lamha hai ki maiñ gir ke shikasta ho jā.ūñ
sūrat-e-shīsha vo hāthoñ meñ uThātā hai mujhe
jism minjumla-e-āshob-e-qayāmat Thahrā
dekhūñ kaun aa ke qayāmat se bachātā hai mujhe
zalzala aayā to dīvāroñ meñ dab jā.ūñgā
log bhī kahte haiñ ye ghar bhī Darātā hai mujhe
kitnā zālim hai mirī zaat kā paikar 'aḳhtar'
apnī hī saañs kī suulī pe chaḌhātā hai mujhe
pahle to soch ke dozaKH mein jalata hai mujhe
phir wo shishe mein mera chehra dikhata hai mujhe
shayad apna hi taaqub hai mujhe sadiyon se
shayad apna hi tasawwur liye jata hai mujhe
bahar aawazon ka ek mela laga hai dekho
koi andar se magar toDta jata hai mujhe
yahi lamha hai ki main gir ke shikasta ho jaun
surat-e-shisha wo hathon mein uThata hai mujhe
jism minjumla-e-ashob-e-qayamat Thahra
dekhun kaun aa ke qayamat se bachata hai mujhe
zalzala aaya to diwaron mein dab jaunga
log bhi kahte hain ye ghar bhi Daraata hai mujhe
kitna zalim hai meri zat ka paikar 'aKHtar'
apni hi sans ki suli pe chaDhata hai mujhe
- Book : Dariche (Pg. 17)
- Author : Bashir Saifi
- Publication : Shakhsar Publishers (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.