puri tarah se ab ke tayyar ho ke nikle
puurī tarah se ab ke tayyār ho ke nikle
ham chāragar se milne bīmār ho ke nikle
jādū-bharī jagah hai bāzār tum na jaanā
ik baar ham ga.e the bāzār ho ke nikle
miTTī ke rāstoñ pe utre imāratoñ se
vāpas imāratoñ ke āsār ho ke nikle
apnī haqīqatoñ ko jañgal banāyā ham ne
aur phir kahāniyoñ ke kirdār ho ke nikle
āḳhir ko zindagī ke qadmoñ meñ bichh ga.e ham
aur us kī Thokaroñ se hamvār ho ke nikle
ma.ashūq ne karā dī kyā sulh āshiqoñ meñ
saare raqīb aa.e aur yaar ho ke nikle
ye shaḳhs farhat-'ehsās' aisī burī balā hai
ham us ke saath rah kar be-kār ho ke nikle
puri tarah se ab ke tayyar ho ke nikle
hum chaaragar se milne bimar ho ke nikle
jadu-bhari jagah hai bazar tum na jaana
ek bar hum gae the bazar ho ke nikle
miTTi ke raston pe utre imaraton se
wapas imaraton ke aasar ho ke nikle
apni haqiqaton ko jangal banaya hum ne
aur phir kahaniyon ke kirdar ho ke nikle
aaKHir ko zindagi ke qadmon mein bichh gae hum
aur us ki Thokaron se hamwar ho ke nikle
mashuq ne kara di kya sulh aashiqon mein
sare raqib aae aur yar ho ke nikle
ye shaKHs farhat-'ehsas' aisi buri bala hai
hum us ke sath rah kar be-kar ho ke nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.