qalam dil mein Duboya ja raha hai
qalam dil meñ Duboyā jā rahā hai
nayā manshūr likkhā jā rahā hai
maiñ kashtī meñ akelā to nahīñ huuñ
mire hamrāh dariyā jā rahā hai
salāmī ko jhuke jaate haiñ ashjār
havā kā ek jhoñkā jā rahā hai
musāfir hī musāfir har taraf haiñ
magar har shaḳhs tanhā jā rahā hai
maiñ ik insāñ huuñ yā saarā jahāñ huuñ
bagūla hai ki sahrā jā rahā hai
'nadīm' ab aamad aamad hai sahar kī
sitāroñ ko bujhāyā jā rahā hai
qalam dil mein Duboya ja raha hai
naya manshur likkha ja raha hai
main kashti mein akela to nahin hun
mere hamrah dariya ja raha hai
salami ko jhuke jate hain ashjar
hawa ka ek jhonka ja raha hai
musafir hi musafir har taraf hain
magar har shaKHs tanha ja raha hai
main ek insan hun ya sara jahan hun
bagula hai ki sahra ja raha hai
'nadim' ab aamad aamad hai sahar ki
sitaron ko bujhaya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.