qalb-gah mein zara zara sa kuchh
qalb-gah meñ zarā zarā sā kuchh
zaḳhm jaisā chamak rahā thā kuchh
yuuñ to vo log mujh hī jaise the
in kī āñkhoñ meñ aur hī thā kuchh
thā sar-e-jism ik charāġhāñ sā
raushnī meñ nazar na aayā kuchh
ham zamīñ kī taraf jab aa.e the
āsmānoñ meñ rah gayā thā kuchh
dūsroñ kī nazar se dekheñge
dekhnā kuchh thā ham ne dekhā kuchh
kuchh badan kī zabān kahtī thī
āñsuoñ kī zabān meñ thā kuchh
qalb-gah mein zara zara sa kuchh
zaKHm jaisa chamak raha tha kuchh
yun to wo log mujh hi jaise the
in ki aankhon mein aur hi tha kuchh
tha sar-e-jism ek charaghan sa
raushni mein nazar na aaya kuchh
hum zamin ki taraf jab aae the
aasmanon mein rah gaya tha kuchh
dusron ki nazar se dekhenge
dekhna kuchh tha hum ne dekha kuchh
kuchh badan ki zaban kahti thi
aansuon ki zaban mein tha kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.