raat apne KHwab ki qimat ka andaza hua
raat apne ḳhvāb kī qīmat kā andāza huā
ye sitāra niiñd kī tahzīb se paidā huā
zehn kī zarḳhez miTTī se na.e chehre uge
jo mirī yādoñ meñ zinda hai sarāsīma huā
merī āñkhoñ meñ anokhe jurm kī tajvīz thī
sirf dekhā thā use us kā badan mailā huā
vo koī ḳhush-bū hai merī saañs meñ bahtī huī
maiñ koī aañsū huuñ us kī ruuh meñ girtā huā
us ke milne aur bichhaḌ jaane kā manzar ek hai
kaun itne fāsloñ meñ be-hijāb aisā huā
raat apne KHwab ki qimat ka andaza hua
ye sitara nind ki tahzib se paida hua
zehn ki zarKHez miTTi se nae chehre uge
jo meri yaadon mein zinda hai sarasima hua
meri aankhon mein anokhe jurm ki tajwiz thi
sirf dekha tha use us ka badan maila hua
wo koi KHush-bu hai meri sans mein bahti hui
main koi aansu hun us ki ruh mein girta hua
us ke milne aur bichhaD jaane ka manzar ek hai
kaun itne faslon mein be-hijab aisa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.