raat baghiche pe thi aur raushni patthar mein thi
raat bāġhīche pe thī aur raushnī patthar meñ thī
ik sahīfe kī tilāvat zehn-e-paiġhambar meñ thī
aadmī kī band muTThī meñ sitāra thā koī
ek jādūī kahānī sub.h ke mantar meñ thī
ek raḳhsh-e-sañg thā ātish-kade ke sāmne
ek niilī mom-battī dast-e-āhan-gar meñ thī
biich meñ soī huī thī ātish-e-ā.indagāñ
ek pairāhan kī ThanDak dhuup kī chādar meñ thī
paañv sākit ho ga.e 'sarvat' kisī ko dekh kar
ik kashish mahtāb jaisī chehra-e-dilbar meñ thī
raat baghiche pe thi aur raushni patthar mein thi
ek sahife ki tilawat zehn-e-paighambar mein thi
aadmi ki band muTThi mein sitara tha koi
ek jadui kahani subh ke mantar mein thi
ek raKHsh-e-sang tha aatish-kade ke samne
ek nili mom-batti dast-e-ahan-gar mein thi
bich mein soi hui thi aatish-e-aindagan
ek pairahan ki ThanDak dhup ki chadar mein thi
panw sakit ho gae 'sarwat' kisi ko dekh kar
ek kashish mahtab jaisi chehra-e-dilbar mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.