naya ek rishta paida kyun karen hum
nayā ik rishta paidā kyuuñ kareñ ham
bichhaḌnā hai to jhagḌā kyuuñ kareñ ham
ḳhamoshī se adā ho rasm-e-dūrī
koī hangāma barpā kyuuñ kareñ ham
ye kaafī hai ki ham dushman nahīñ haiñ
vafā-dārī kā da.avā kyuuñ kareñ ham
vafā iḳhlās qurbānī mohabbat
ab in lafzoñ kā pīchhā kyuuñ kareñ ham
sunā deñ ismat-e-mariyam kā qissa
par ab is baab ko vā kyoñ kareñ ham
zuleḳhā-e-azīzāñ baat ye hai
bhalā ghāTe kā saudā kyoñ kareñ ham
hamārī hī tamannā kyuuñ karo tum
tumhārī hī tamannā kyuuñ kareñ ham
kiyā thā ahd jab lamhoñ meñ ham ne
to saarī umr iifā kyuuñ kareñ ham
uThā kar kyoñ na pheñkeñ saarī chīzeñ
faqat kamroñ meñ Tahlā kyoñ kareñ ham
jo ik nasl-e-faromāya ko pahuñche
vo sarmāya ikaTThā kyoñ kareñ ham
nahīñ duniyā ko jab parvā hamārī
to phir duniyā kī parvā kyuuñ kareñ ham
barahna haiñ sar-e-bāzār to kyā
bhalā andhoñ se parda kyoñ kareñ ham
haiñ bāshinde usī bastī ke ham bhī
so ḳhud par bhī bharosā kyoñ kareñ ham
chabā leñ kyoñ na ḳhud hī apnā Dhāñcha
tumheñ rātib muhayyā kyoñ kareñ ham
paḌī rahne do insānoñ kī lāsheñ
zamīñ kā bojh halkā kyoñ kareñ ham
ye bastī hai musalmānoñ kī bastī
yahāñ kār-e-masīhā kyuuñ kareñ ham
naya ek rishta paida kyun karen hum
bichhaDna hai to jhagDa kyun karen hum
KHamoshi se ada ho rasm-e-duri
koi hangama barpa kyun karen hum
ye kafi hai ki hum dushman nahin hain
wafa-dari ka dawa kyun karen hum
wafa iKHlas qurbani mohabbat
ab in lafzon ka pichha kyun karen hum
suna den ismat-e-mariyam ka qissa
par ab is bab ko wa kyon karen hum
zuleKHa-e-azizan baat ye hai
bhala ghaTe ka sauda kyon karen hum
hamari hi tamanna kyun karo tum
tumhaari hi tamanna kyun karen hum
kiya tha ahd jab lamhon mein hum ne
to sari umr ifa kyun karen hum
uTha kar kyon na phenken sari chizen
faqat kamron mein Tahla kyon karen hum
jo ek nasl-e-faromaya ko pahunche
wo sarmaya ikaTTha kyon karen hum
nahin duniya ko jab parwa hamari
to phir duniya ki parwa kyun karen hum
barahna hain sar-e-bazar to kya
bhala andhon se parda kyon karen hum
hain bashinde usi basti ke hum bhi
so KHud par bhi bharosa kyon karen hum
chaba len kyon na KHud hi apna Dhancha
tumhein raatib muhayya kyon karen hum
paDi rahne do insanon ki lashen
zamin ka bojh halka kyon karen hum
ye basti hai musalmanon ki basti
yahan kar-e-masiha kyun karen hum
- Book : shayad (Pg. 125)
- Author : jaun eliya
- Publication : kitabi duniya (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.