safar ki dhup mein chehre sunahre kar liye humne
safar kī dhuup meñ chehre sunahre kar liye ham ne
vo andeshe the rañg āñkhoñ ke gahre kar liye ham ne
ḳhudā kī tarh shāyad qaid haiñ apnī sadāqat meñ
ab apne gird afsānoñ ke pahre kar liye ham ne
zamāna pech-andar-pech thā ham log vahshī the
ḳhayāl āzār the lahje ikahre kar liye ham ne
magar un sīpiyoñ meñ pāniyoñ kā shor kaisā thā
samundar sunte sunte kaan bahre kar liye ham ne
vahī jiine kī āzādī vahī marne kī jaldī hai
divālī dekh lī ham ne dasahre kar liye ham ne
safar ki dhup mein chehre sunahre kar liye hum ne
wo andeshe the rang aankhon ke gahre kar liye hum ne
KHuda ki tarh shayad qaid hain apni sadaqat mein
ab apne gird afsanon ke pahre kar liye hum ne
zamana pech-andar-pech tha hum log wahshi the
KHayal aazar the lahje ikahre kar liye hum ne
magar un sipiyon mein paniyon ka shor kaisa tha
samundar sunte sunte kan bahre kar liye hum ne
wahi jine ki aazadi wahi marne ki jaldi hai
diwali dekh li hum ne dasahre kar liye hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.