sahra ko dariya samjha tha
sahrā ko dariyā samjhā thā
maiñ bhī tujh ko kyā samjhā thā
haath chhuḌā kar jaane vaale
maiñ tujh ko apnā samjhā thā
phir jā.ūñgā apnī zabāñ se
kyā mujh ko aisā samjhā thā
itnī aañkh to mujh meñ bhī thī
duniyā ko duniyā samjhā thā
maiñ ne tujh ko manzil jaanā
tū mujh ko rasta samjhā thā
be-ā.īna shahr ne mujh ko
ḳhud sā be-chehrā samjhā thā
kyā se kyā niklā hai, tū bhī
maiñ tujh ko kaisā samjhā thā
sahra ko dariya samjha tha
main bhi tujh ko kya samjha tha
hath chhuDa kar jaane wale
main tujh ko apna samjha tha
phir jaunga apni zaban se
kya mujh ko aisa samjha tha
itni aankh to mujh mein bhi thi
duniya ko duniya samjha tha
main ne tujh ko manzil jaana
tu mujh ko rasta samjha tha
be-aina shahr ne mujh ko
KHud sa be-chehra samjha tha
kya se kya nikla hai, tu bhi
main tujh ko kaisa samjha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.