Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarw-e-gulshan par suKHan us qad ka baala ho gaya

Siraj Aurangabadi

sarw-e-gulshan par suKHan us qad ka baala ho gaya

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    sarv-e-gulshan par suḳhan us qad baalā ho gayā

    har nihāl is sharm siiñ jañgal paalā ho gayā

    aavtā hai ye bahā ho aañkh señ dāman talak

    tifl-e-ashk is āj-kal meñ kyā jvālā ho gayā

    jab siiñ us almās pahuñchī hai aañsū meñ aks

    tab siiñ har tār-e-falak hīroñ maalā ho gayā

    dil jigar phakaḌiyāñ aahoñ ke tāroñ meñ piro

    baiTh kar dokān-e-ġham par phuul vaalā ho gayā

    ashk-e-bārāñ aah bijlī ashk kaalī ghaTā

    māh-rū ban kis tarah barshgālā ho gayā

    baaġh meñ sarmā thā aur thī yād-e-dildār-e-do-rañg

    mujh kuuñ har barg-e-gul-e-ra.anā doshālā ho gayā

    niiñd siiñ khul ga.iiñ mirī āñkheñ so dekhā yaar kuuñ

    añdhārā is qadar thā ujālā ho gayā

    hijr maTh meñ tasavvur us ġhazālī chashm

    ishq ke bairāgiyoñ ko mirg-chhālā ho gayā

    bhar rahā hai bas ki dūd-e-āh merā ai 'sirāj'

    āsmāñ jiyūñ parda-e-fānūs kaalā ho gayā

    sarw-e-gulshan par suKHan us qad ka baala ho gaya

    har nihaal is sharm sin jangal ka pala ho gaya

    aawta hai ye baha ho aankh sen daman talak

    tifl-e-ashk is aaj-kal mein kya jwala ho gaya

    jab sin us almas ki pahunchi ka hai aansu mein aks

    tab sin har tar-e-falak hiron ka mala ho gaya

    dil jigar ki phakaDiyan aahon ke taron mein piro

    baiTh kar dokan-e-gham par phul wala ho gaya

    ashk-e-baran aah bijli ashk ki kali ghaTa

    mah-ru ban kis tarah ka barshgala ho gaya

    bagh mein sarma tha aur thi yaad-e-dildar-e-do-rang

    mujh kun har barg-e-gul-e-rana doshaala ho gaya

    nind sin khul gain meri aankhen so dekha yar kun

    ya andhaara is qadar tha ya ujala ho gaya

    hijr ki maTh mein tasawwur us ghazali chashm ka

    ishq ke bairagiyon ko mirg-chhaala ho gaya

    bhar raha hai bas ki dud-e-ah mera ai 'siraj'

    aasman jiyun parda-e-fanus kala ho gaya

    Source:

    Kulliyat-e-Siraj (Pg. 334)

    • Author: Siraj Aurangabadi
      • Edition: 1982,1998
      • Publisher: Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu
      • Year of Publication: 1982,1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now