sham ke tan par saji jo surmai poshak hai
shaam ke tan par sajī jo surma.ī poshāk hai
ham charāġhoñ kī faqat ye raushnī poshāk hai
chāñd peshānī kā Tiikā chāñdnī poshāk hai
raat ne pahnī hai jo vo sāhirī poshāk hai
ḳhaak kā ye jism hai aur ḳhaak hī poshāk hai
zindagī kī ye nahīñ ye ruuh kī poshāk hai
is ko jannat meñ qadam rakhne pe hai pābandiyāñ
jis kisī bad-zehn kī bhī kāfirī poshāk hai
har galī nukkaḌ nagar ab ban chukā maqtal yahāñ
be-gunāhoñ kī lahū tar chīḳhtī poshāk hai
sab kī taqrīroñ meñ vaise hai ḳhudā sab kā hī ik
haañ magar har dil kī apnī maz.habī poshāk hai
us ġhazal ke harf 'sāhil' muskurā.e kis qadar
muddatoñ se jis ne pahnī mātamī poshāk hai
sham ke tan par saji jo surmai poshak hai
hum charaghon ki faqat ye raushni poshak hai
chand peshani ka Tika chandni poshak hai
raat ne pahni hai jo wo sahiri poshak hai
KHak ka ye jism hai aur KHak hi poshak hai
zindagi ki ye nahin ye ruh ki poshak hai
is ko jannat mein qadam rakhne pe hai pabandiyan
jis kisi bad-zehn ki bhi kafiri poshak hai
har gali nukkaD nagar ab ban chuka maqtal yahan
be-gunahon ki lahu tar chiKHti poshak hai
sab ki taqriron mein waise hai KHuda sab ka hi ek
han magar har dil ki apni mazhabi poshak hai
us ghazal ke harf 'sahil' muskurae kis qadar
muddaton se jis ne pahni matami poshak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.