hum bahut dur nikal aae hain chalte chalte
ham bahut duur nikal aa.e haiñ chalte chalte
ab Thahar jaa.eñ kahīñ shaam ke Dhalte Dhalte
ab ġham-e-zīst se ghabrā ke kahāñ jā.eñge
umr guzrī hai isī aag meñ jalte jalte
raat ke ba.ad sahar hogī magar kis ke liye
ham hī shāyad na raheñ raat ke Dhalte Dhalte
raushnī kam thī magar itnā añdherā to na thā
sham-e-ummīd bhī gul ho ga.ī jalte jalte
aap va.ade se mukar jā.eñge rafta rafta
zehn se baat utar jaatī hai Talte Talte
TuuTī dīvār kā saaya bhī bahut hotā hai
paañv jal jaa.eñ agar dhuup meñ chalte chalte
din abhī baaqī hai 'iqbāl' zarā tez chalo
kuchh na sūjhegā tumheñ shaam ke Dhalte Dhalte
hum bahut dur nikal aae hain chalte chalte
ab Thahar jaen kahin sham ke Dhalte Dhalte
ab gham-e-zist se ghabra ke kahan jaenge
umr guzri hai isi aag mein jalte jalte
raat ke baad sahar hogi magar kis ke liye
hum hi shayad na rahen raat ke Dhalte Dhalte
raushni kam thi magar itna andhera to na tha
sham-e-ummid bhi gul ho gai jalte jalte
aap wade se mukar jaenge rafta rafta
zehn se baat utar jati hai Talte Talte
TuTi diwar ka saya bhi bahut hota hai
panw jal jaen agar dhup mein chalte chalte
din abhi baqi hai 'iqbaal' zara tez chalo
kuchh na sujhega tumhein sham ke Dhalte Dhalte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.