hosh walon ko KHabar kya be-KHudi kya chiz hai
hosh vāloñ ko ḳhabar kyā be-ḳhudī kyā chiiz hai
ishq kiije phir samjhiye zindagī kyā chiiz hai
un se nazreñ kyā milīñ raushan fazā.eñ ho ga.iiñ
aaj jaanā pyaar kī jādūgarī kyā chiiz hai
bikhrī zulfoñ ne sikhā.ī mausamoñ ko shā.irī
jhuktī āñkhoñ ne batāyā mai-kashī kyā chiiz hai
ham laboñ se kah na paa.e un se hāl-e-dil kabhī
aur vo samjhe nahīñ ye ḳhāmoshī kyā chiiz hai
hosh walon ko KHabar kya be-KHudi kya chiz hai
ishq kije phir samjhiye zindagi kya chiz hai
un se nazren kya milin raushan fazaen ho gain
aaj jaana pyar ki jadugari kya chiz hai
bikhri zulfon ne sikhai mausamon ko shairi
jhukti aankhon ne bataya mai-kashi kya chiz hai
hum labon se kah na pae un se haal-e-dil kabhi
aur wo samjhe nahin ye KHamoshi kya chiz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.