jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin
Interesting Fact
Film: Arth (1982)
jhukī jhukī sī nazar be-qarār hai ki nahīñ
dabā dabā sā sahī dil meñ pyaar hai ki nahīñ
tū apne dil kī javāñ dhaḌkanoñ ko gin ke batā
mirī tarah tirā dil be-qarār hai ki nahīñ
vo pal ki jis meñ mohabbat javān hotī hai
us ek pal kā tujhe intizār hai ki nahīñ
tirī umiid pe Thukrā rahā huuñ duniyā ko
tujhe bhī apne pe ye e'tibār hai ki nahīñ
jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin
daba daba sa sahi dil mein pyar hai ki nahin
tu apne dil ki jawan dhaDkanon ko gin ke bata
meri tarah tera dil be-qarar hai ki nahin
wo pal ki jis mein mohabbat jawan hoti hai
us ek pal ka tujhe intizar hai ki nahin
teri umid pe Thukra raha hun duniya ko
tujhe bhi apne pe ye e'tibar hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.